A doctor in Pakistant has started a thread in the Yahoo Bulletin Boards on the topic of Urdu poetry.
Here is the URL:
http://messages.yahoo.com/bbs?.mm=boards&action=m&board=12817081&tid=urdupoetryonyahooforfirsttimeeva&sid=12817081&mid=5
Posted by jean-pierre at January 29, 2005 12:42 PMALVIDA
Na tujh pay jafa ka koi ilzaam
Ma maiN apni ulfat pay sharamsaar
Tagaful na peshaymaani na koi shiqayat
Bus zindagi ko dekha apnay apnay andaz say humnay
MaiN ishq ko samjhta hooN zindgi ka muqaddar
Tunay muqaddar ko bus zindagi samjha
MaiN jin zulmatoN pay uthata raha barbat-i-baghaawat
Tunay unhiN aqaayud ko raushani samjha
MaiN banaataa hi rahaa haseeN khwaaboN kay gronday
Mujhko na tha pata ki tera guzar inmaiN kahaaN
Tu to dhooNdti phirti thi ik qafas sandli
Meray tas_svur maiN tha teray liyay ik azaad jahaaN
Main to chaahaa tha ki tum humkadam ho kay chalo
Tumnay virsay maiN magar paya hai aqeedat ka bharam
Meri ulfat to thi baraabar ki dosti
Teri ulfat rahi meri mohtaaj-i-karam
Meri tamanna thi ki tu mujhay "tu" ho kar kay milay
Tunay khudi ko apni magar biknay kay liayay paalaa tha
Meri hasrat ki tu isay apnay ahsaas maiN rakh kar kay jiyay
Toonay parstish kay liyay jisay ab talak saMbhaalaa tha
Na tujh say thi mujhay parstish ki aarzoo
Na kud mujhay tha shauq-i-aqeedat
MaiN tujh maiN dhooNdta phirta tha ik khud_dar mehboob
Aur tumko piyaari thiN apnay purkhoN ki viraasat
--------
Tagaful- la-parwahi,ZulmatoN- aNdairoN
Barbat-i-baghawat-baghawat ka bigul
Aqaaud-vishwaas,Qafus-pinjra,Mohtaaj-i-karam-daya par nirbhar
--Brijinder "Sagar"
brijinder1232@yahoo.com
ebazm.com/sagar
Auckland,New Zealand
i want many urdu ghazals and poetry to read and learn
Posted by sumair at July 17, 2005 06:24 PMplz send ur feedback on my nazm.
Brijinder"sagar"
brijinder1232@yahoo.com
hai
Posted by akbar at August 28, 2005 11:01 AMmein tumharey liye kuch kerti maghar
mujey kaam tha
mein tumharey liye doob marti maghar
mujey zukam tha
sub kuch lota do ga yah bhi dekh layna
tuj say nahi karo ga dhuka yah bhi dekh layna
haath say haath mila kay dekho ay dost
zindage tery naam na kar do to dekh layna
us ka to ghum bhi azeez hia yaroo
woh bicher gaya ab mein nay zindagi say kiya layna
ager sanam na mila to teri zindagi kia
woh meri Qaber par a kay roye ga yah bhi dekh layna
jab nazaray achay lagtay hain
phir dhoor kinaray achay lagtay hain
kar ka wada saath nibhanay ka
kabhi choor janay walay achay lagtay hain
kitni aag bhari ha mery taan mein
teri mohabaat kay angaray achaay lagtay hain
tu chahay saath day yah na day
teri yadoo kay saharay achay lagtay hain
dekhnay say koi rook nahi sakta Naz
Asmaan per sitaray achaay lagtay hain